Friday, April 24, 2020

Covid 19 (corona)

YE KYA HO GYA.....

CORONA naam ka ye virus chin se aaya or usne dekhe dekhte tabahi macha di pure world mai samz nhi aata is bimari se kaise nikla jaye...
America , Itly, vihan,  aise kai cities mai isne apna prakop dikhaya h... Din din log mare ja rhe h chin ki ak choti si glti ne pure world ko presan kr diya h jiska tod abhi tk samne nhi aaya h... Doctors apni trf se puri koshis kr rhe h aise passent ka treatment krke unko jldi se thik kiya ja ske... Par ye bimari aise hi h jo itne teji se fail rhi h or isko rokna bahut hi jaruri h... Government apne pure kaam kr rhi h jisse is par rok lga ske pr ye sirf ak hi bat nhi h ise rokne ke liye sbka sath chahiye jo bahut had tk aam janta milkr de rhi h apne apne ghro mai reh kr par isle bad b kuch aise log h jo bahar jakar logo ke sath samprak mai rahe h un doctor ko presan kar rhe h mar rhe h jo unki jindgi bchane ke liye lage h.. safai karmi poolice reporters aise any wo log jo bahar aakr hmari sefty ke liye din raat lage huye h... Is situation mai hm aam logo ko unko pura samrthan dena chahiye.... Jo hm puri trha nhi kr rhe h ye ladai sirf ak doctor government ya poolice ki nhi h ye ladai h hmari har us insan ki jise ye desh se pyaar h.... 2nd vishv yudh mai aise ldai thi jo samne samne ki h dikhai dene wale insan ke sath thi pr ye ladai ak aise pratibha virus  ke sath h jo dikhai nhi deta or itni teji se failne wala h.   Is ladai mai desh ke har insaan ko apna yogdaan de na h asli fighters bnna h apni jindgi or oro ki jindgi k liye hmai ghr mai rehna h distance bnana h hygiene bnana h hm sb is trha se ise rok payenge sath hi koshis ye b karni h jo garib insan h roj ki kamane khane wale h jinko is time abhi sbse jyada jarurt h qki unke pass na kaam h na khane ko to hm sb ko milkr unki help krna h government par jitna ho rha h wo kr rhi h aam log b kuch na kuch kr rhe h par hmai or b karne ki jarurt h qki ye ldai ak do din ki nhi h pta nhi kb tk chlegi bs hatash na hona kbhi apne honshle ko bnaa kr rkho or help kro jis par jitna ho... Aise mai wo insaan jo jaha h wahi reh gya kafi log apne ghr nhi pahuche kafi un sb ko b sayam bna kr rkhna hoga jo jaha h wahi safe h bahar Corona h jo dikhta nhi h aise mai apni safety aapke khud ke hanth mai h... Corona ko hm sb milkr harayenge bs kuch din ki presani h... Fir wahi hamra desh hoga fir wahi hamri aazadi hogi...

Wada krte h hm hmare desh se.. sar nhi jhukne denge.. bhale hi kut jaye sar hmara .... Ye desh ko na mitne denge....

Thursday, April 2, 2020

Hello friends aaj mai aapke liye lekr aai hu ak healthy cake recipe.

Suger free cake eggless n without ovenπŸŽ‚πŸŽ‚πŸŽ‚πŸŽ‚
 

ingredients
  • Badam 50gm.
  • Kaju 50gm
  • Chhuaraa 10 muh
  • Pind khajoor 50 gm
  • Gudd 50 gm
  • Milk 300gm
  • Aata 1 bowl 
  • Baking powder half sppons
  • Namak ak pinch 
  • Refaind oil aadha katori
Aaiye ab dekhte h ise kis trha banana h ye cake totally healthy h without egg n without suger chaliye to dekhte h ise kis trha bnana h..


Mathod

Sabse pehle sare dry fruits ko milk ke sath soak krne rakh de or usmai gudd add kr de is milkr ke bowl ko hm 40 se 45 mint ke liye side rakh denge. Ab iske bad ak bowl lenge or usmai aata lenge or chhanenge sath hi baking powder or namak b add krenge.. iske bad side mai rakha dry fruits ko hm milk ke sath mixer mai peesenge or ak fine batter bna le uske bad is batter ko aate mai add krna h or acchi trha mix krna h  iske bad is batter mai oil add krna h or acchi trha se batter ko milaye ismai guthali nhi honi chahiye ak hi direction mai hilate huye batter ko smood pest taiyar kr le uske bad hm ak kadai lenge ismai namak dalenge or ak bartan ko grees krenge jismai cake ka batter add krenge or acchi trha se set krenge iske upr kuch dry fruits se use garnish krenge iske bad hm ise dhak kr atleata 40 yo 50 minutes ke liye chod denge iske bad jb time ho jaye tb hm dekhenge ak knife ki madad se cake pkaa h to bs ready aapke liye suger free cake for healthy.......☺️☺️☺️☺️


To btaiye kaise lgi aapko mere cake ki recipe i hope ise aap try krenge. Actually maine ye cake recipe isliye share ki qki jo dibeties pessent h unka b mnn krta h cake ya kuch meetha khane ka to q na hm unke liye kuch aisa bnaye jo unke liye unke health ke liye accha ho ye cake recipe for all diabetes logo ke liye aap b khaiye or ghr mai bna kr khilaye or aapko passand aaye to jarur share kre mere sath aapke experience ko...

Wednesday, April 1, 2020

My self ...

Introduction..

My first post .
Aj mera first post h usse pehle mai aapko apne bare mai bta du.
Mera naam anshu khatri h....
Ma ak student hu. Muze likhna pssand hai muze mere choti behan ne kaha ki mai blog likhu. To aj mai wahi koshis kr rhi hu maine study mai m.com kiya h uske bad library science mai pg ki h pr sach btau to aj tk muze ak rt way nhi mila jisse mai apna future set kr saku maine apni life mai jo chaha wo mila h muze pr carear ki bat jaha aai waha muze ab tk wo nhi mila jo muze chahiye tha.. muze starting se padna likhna passand tha uske alawa meri hobby cooking ki h jaisa ki mere blogger ka naam h Food&write muze bachpan se khana bnane ka shok rha h muze indian, south indian, chinese, non veg, fast food,  almost sabhi trha ke khana bnane ka shok raha h jo mai apni daily life mai try krti hu ..muze khali time pr cooking krna or likhna pssand h sayad isliye meri behn ne muze btaya ki mai blogs ke madhyam se likh skti hu. Aj koshis ki h hope fully mai ise pura kru or acche acche food recipe n story share kru aap sb ke sath yaha jo storu hogi wo meri personal likhi hui hogi... ☺️☺️

Covid 19 (corona)

YE KYA HO GYA..... CORONA naam ka ye virus chin se aaya or usne dekhe dekhte tabahi macha di pure world mai samz nhi aata is bimari se ka...